Blogger Widgets

Shikayat uski chhupaon

Shikayat uski chhupaon magr nhi chhupti,

Udhar nikalti hai mun' se idhar nhi chhupti.

ye sair hai k d0patta urra rahi hai saba,

wo jab chhupate hain seena, kamar nhi chhupti.

ghari hai dil se jo tu ne wo bat teri hai,

k us k mun' ki to ay namaber nhi chhupti!

ye subah e hijr qayamat ki subah hai Ya Rab!

k mere bakht e siyah se sehar nhi chhupti.

sahaab mein to maah o aftab chhupte hain,

naqaab mein teri surat magr nhi chhupti!

badal badal k wo awaz-go bane saail,

sada e ashiq e shorida-sar nhi chhupti.

bashr nhi to farishte uraye phirte hain,

buri bhali tere ghar ki khabr nhi chhupti.

mile tera bulbul se kya mera naala?

sada e naghma-zan o n0ha-gar nhi chhupti.

zuban pe aate he khulte hain nek o badd aasaar,

dua e ba-asar o be-asar nhi chhupti.

teri tabiyat r0shan ik aftab hai DaaGH!

kbhi chhupaye se ye jalwa-gar nhi chhupti..!

Post a Comment

Dil Ki Bat Shairy K Sath | Design By:Saifullah