Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
MaiN Phir AauuNga Palat Kar Mera Intezaar Karna
MaiN Phir AauuNga Palat Kar Mera Intezaar Karna
Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na JhalkeN
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna
Usay Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila NahiN Hai Tujh Ko
Yeh Sitaaray AasmaaN Kay Kabhi Phir Shumaar Karna
Mere Shahr Ki Fiza MeN Koi Zahr Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khushgawaar Karna
MaiN UthauuNgaa Na EhsaaN Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ne Hi Duboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna
Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaanaa, Na Kisi Sey Pyaar Karna
Kabhi Iqtidaar BaKhshay Jo Khuda ‘Qateel’ Tujh Ko
Jo Rawish Hai QatiloN Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna
Post a Comment