In Maanon ki azmat ko Salam
Jo is watan per apne bete qurban karte hain
Iss dunya-e-faani main koi gunah bhi kisi ko nahi deta
Phir yeh kase itna ala zarf kam karte hain
Nau omeri main olad ko door ker dana
Judai main iss ka roote rehna
Tamam dukh o dard akale sehna
Phir yeh kase itna ala zarf kam karte hain
Betae ka hath main khilona ki jaga bandooq a gye
Zindage main iss ka maqsad ki roshne chah gye
Maan ka Judai ka gham ko khushi chupah gye
Olad ki khushi main wo her kushi pa gye
Aye jo madan-e-jung se sada kisi ki
Watan na manga hai Khon-e- wafa ko
Iss Dais ki her eik maan khare ho ker ya kaha
Ja beta dekha da jazba hussani dushman ko
Zindagi ka rung kuch tabdeel ho gaye
Kushi ka rung kuch mand ho gaye
Madan-e-jung se eik khbar jo aye
Daimi moat tere beta na hai paye
Hone na di iss mati ki ruswai
Tamam golian hain apne sena pe khain
Phir eik sakoot sa cha gaya
Asman ko bhi rona a gaya
Phir eik larzte hoee awaz aye
Mera beta tu hayat-e-jawadani pa gaya
Hilali perchum ko sena se lagya uss na
Shaheed ki mait pa eik bi ansoo na bahya uss na
Her saans main yeh frmya uss na
Soo beta iss watan per qurban yeh azam dorha uss na
Shukar rab ka ada ki uss na
Amar rabe samaj ker sajda rawan ki uss na
Iss watan ka koi kuch bigar nahi sakta
jiss main tuj jase maeen hote hain
Sepahe madan main larta zaroor hai
Uss ki taqat maan ki dowan hote hain
Aa dushman tu dekh iss borhya ki himat
Iss dais ka khilaf sochna ki ker na zehmat
Yeh iss zameen per Allah ki khas rehmat hai
Yahan ki her eik Shamim eik Naeem beja gi
Post a Comment